tujhse wabasta hun nashad nahin ho sakta
tujh se vābasta huuñ nāshād nahīñ ho saktā
tere hote hue barbād nahīñ ho saktā
surḳh-rūī mire hissa meñ junūñ se aa.ī
ab koī dūsrā farhād nahīñ ho saktā
par katartā hai na zindāñ kī sazā detā hai
qaid meñ jis kī huuñ sayyād nahīñ ho saktā
pichhle asbāq jo azbar the unheñ bhuul gayā
ab nayā koī sabaq yaad nahīñ ho saktā
yahī behtar hai ki bujh jaa.e sar-e-shām charāġh
dil-e-nāshād agar shaad nahīñ ho saktā
ye makāñ us kā hī hai kaun-o-makāñ jis ke haiñ
kyā ḳharāba kabhī ābād nahīñ ho saktā
tujh se wabasta hun nashad nahin ho sakta
tere hote hue barbaad nahin ho sakta
surKH-rui mere hissa mein junun se aai
ab koi dusra farhad nahin ho sakta
par katarta hai na zindan ki saza deta hai
qaid mein jis ki hun sayyaad nahin ho sakta
pichhle asbaq jo azbar the unhen bhul gaya
ab naya koi sabaq yaad nahin ho sakta
yahi behtar hai ki bujh jae sar-e-sham charagh
dil-e-nashad agar shad nahin ho sakta
ye makan us ka hi hai kaun-o-makan jis ke hain
kya KHaraba kabhi aabaad nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.