tujhe bhi husn-e-mutlaq ka abhi didar ho jae
tujhe bhī husn-e-mutlaq kā abhī dīdār ho jaa.e
mire mahbūb ke jo rū-ba-rū ik baar ho jaa.e
sukūn-o-chain mil jaa.e ḳhudā bhī yaar ho jaa.e
agar insān meñ insāniyat bedār ho jaa.e
lahū meñ garm-joshī rakh qalam meñ zor paidā kar
nahīñ to har qadam par ik na.ī dīvār ho jaa.e
qalandar huuñ mujhe shohrat kī chāhat hī nahīñ varna
maiñ rakh duuñ jis ke sar par haath vo sardār ho jaa.e
sunā hai dard se 'ahyā' qalam meñ zor miltā hai
so maiñ ne bhī du'ā kar lī mujhe bhī pyaar ho jaa.e
tujhe bhi husn-e-mutlaq ka abhi didar ho jae
mere mahbub ke jo ru-ba-ru ek bar ho jae
sukun-o-chain mil jae KHuda bhi yar ho jae
agar insan mein insaniyat bedar ho jae
lahu mein garm-joshi rakh qalam mein zor paida kar
nahin to har qadam par ek nai diwar ho jae
qalandar hun mujhe shohrat ki chahat hi nahin warna
main rakh dun jis ke sar par hath wo sardar ho jae
suna hai dard se 'ahya' qalam mein zor milta hai
so main ne bhi du'a kar li mujhe bhi pyar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.