tujhe chhu kar na guzre jo hawa achchhi nahin lagti
![Saleem Akhtar Malik Saleem Akhtar Malik](https://www.rekhta.org/Content/Images/quillm.png)
tujhe chhu kar na guzre jo hawa achchhi nahin lagti
Saleem Akhtar Malik
MORE BYSaleem Akhtar Malik
tujhe chhū kar na guzre jo havā achchhī nahīñ lagtī
jo phūloñ ko na chūme vo sabā achchhī nahīñ lagtī
hamāre saath rahnā hai hamāre saath hī rahnā
hameñ koī bhī shai be-āsrā achchhī nahīñ lagtī
gunāhoñ par pashemāñ hone vaalo sirf ye socho
jo ho dānista sarzad vo ḳhatā achchhī nahīñ lagtī
vo mujh se guftugū karte hue sharmā.e jaate haiñ
milan kī shab meñ tāroñ kī ziyā achchhī nahīñ lagtī
agar āñkhoñ meñ baiThe ho to dil meñ bhī utar aao
ho jis meñ bevafā.ī vo vafā achchhī nahīñ lagtī
shagufta phuul kī sūrat raho gulzār-e-hastī meñ
banāvaT jis meñ ho aisī hayā achchhī nahīñ lagtī
jahāñ tak ho sake ta.amīr ko pesh-e-nazar rakhnā
kisī ke haq meñ 'aḳhtar' badduā achchhī nahīñ lagtī
tujhe chhu kar na guzre jo hawa achchhi nahin lagti
jo phulon ko na chume wo saba achchhi nahin lagti
hamare sath rahna hai hamare sath hi rahna
hamein koi bhi shai be-asra achchhi nahin lagti
gunahon par pasheman hone walo sirf ye socho
jo ho danista sarzad wo KHata achchhi nahin lagti
wo mujh se guftugu karte hue sharmae jate hain
milan ki shab mein taron ki ziya achchhi nahin lagti
agar aankhon mein baiThe ho to dil mein bhi utar aao
ho jis mein bewafai wo wafa achchhi nahin lagti
shagufta phul ki surat raho gulzar-e-hasti mein
banawaT jis mein ho aisi haya achchhi nahin lagti
jahan tak ho sake tamir ko pesh-e-nazar rakhna
kisi ke haq mein 'aKHtar' baddua achchhi nahin lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.