tujhe dekhe zara bhi jis ko shak ho uski sanat mein
tujhe dekhe zarā bhī jis ko shak ho us kī san.at meñ
nazar aatā hai qudrat kā namūna terī sūrat meñ
fanā ke baad bhī raushan rahegā chehra-e-āshiq
na farq aa.egā hargiz tere bīmāroñ kī sūrat meñ
natīja ḳhaak meñ mil jā.egā shab-zinda-dārī kā
agar bhūle se bhī jhapkī palak shab-hā-e-furqat meñ
maza aatā hai dil ko bulbul-e-shaidā ke nāloñ se
havāle mere afsānoñ ke haiñ us kī hikāyat meñ
zahe-baḳht-e-rasā un ke jo pahoñche qurb meñ tere
baḌe ārām se haiñ sāya-e-dāmān-e-daulat meñ
nazar ko kaun qasr-e-yār tak pahuñchā.e detā hai
lagā dī kis ne aisī dūrbīñ chashm-e-basīrat meñ
banātā hai ġhubār-e-dasht apnī chashm kā surma
tire majnūñ ko ai lailā na.ī sūjhī hai vahshat meñ
mai-e-gul-gūñ kī vaa.iz se mazammat sun ke hañs denā
chalā aatā hai ye dastūr yārān-e-tarīqat meñ
maiñ ai 'betāb' ḳhud majbūr huuñ kuchh ban nahīñ paḌtā
Tapak paḌte haiñ aañsū ḳhud-baḳhud āñkhoñ se furqat meñ
tujhe dekhe zara bhi jis ko shak ho us ki sanat mein
nazar aata hai qudrat ka namuna teri surat mein
fana ke baad bhi raushan rahega chehra-e-ashiq
na farq aaega hargiz tere bimaron ki surat mein
natija KHak mein mil jaega shab-zinda-dari ka
agar bhule se bhi jhapki palak shab-ha-e-furqat mein
maza aata hai dil ko bulbul-e-shaida ke nalon se
hawale mere afsanon ke hain us ki hikayat mein
zahe-baKHt-e-rasa un ke jo pahonche qurb mein tere
baDe aaram se hain saya-e-daman-e-daulat mein
nazar ko kaun qasr-e-yar tak pahunchae deta hai
laga di kis ne aisi durbin chashm-e-basirat mein
banata hai ghubar-e-dasht apni chashm ka surma
tere majnun ko ai laila nai sujhi hai wahshat mein
mai-e-gul-gun ki waiz se mazammat sun ke hans dena
chala aata hai ye dastur yaran-e-tariqat mein
main ai 'betab' KHud majbur hun kuchh ban nahin paDta
Tapak paDte hain aansu KHud-baKHud aankhon se furqat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.