tujhe dekhen na kyon aashuftagi se
tujhe dekheñ na kyoñ āshuftagī se
tujhe ham sochte haiñ be-ḳhudī se
huī pāmāl na lafzoñ kī hurmat
nazar sab kah ga.ī hai sādgī se
mohabbat kī ajab hai kīmiyā.ī
sukūñ paatā hai dil tishna-labī se
na sil tū chāk-e-dil mere rafūgar
chhupā leñge ise tīra-shabī se
ye hai e.ajāz terā ai mohabbat
nahīñ shikva hameñ ab zindagī se
tire aane se TuuTe saare rishte
ḳhalish se karb se āzurdagī se
tujhe dekhen na kyon aashuftagi se
tujhe hum sochte hain be-KHudi se
hui pamal na lafzon ki hurmat
nazar sab kah gai hai sadgi se
mohabbat ki ajab hai kimiyai
sukun pata hai dil tishna-labi se
na sil tu chaak-e-dil mere rafugar
chhupa lenge ise tira-shabi se
ye hai eajaz tera ai mohabbat
nahin shikwa hamein ab zindagi se
tere aane se TuTe sare rishte
KHalish se karb se aazurdagi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.