tujhe dekhne ko tarasti hain aankhen
tujhe dekhne ko tarastī haiñ āñkheñ
na dekheñ tujhe to barastī haiñ āñkheñ
hasīnoñ kī mahfil meñ baiThe ho tum bhī
na jaane kahāñ ab Thahartī haiñ āñkheñ
ye aañsū nahīñ ye vafā ke haiñ motī
inhīñ se hamārī nikhartī haiñ āñkheñ
karegī zabāñ dil kī kyā tarjumānī
sabhī dil kī bāteñ to kartī haiñ āñkheñ
in āñkhoñ ko kyā husn baḳhshegā kājal
tujhe dekh kar ye sañvartī haiñ āñkheñ
jhalak jab se 'sāġhar' ne dekhī hai terī
usī din se tujh pe ye martī haiñ āñkheñ
tujhe dekhne ko tarasti hain aankhen
na dekhen tujhe to barasti hain aankhen
hasinon ki mahfil mein baiThe ho tum bhi
na jaane kahan ab Thaharti hain aankhen
ye aansu nahin ye wafa ke hain moti
inhin se hamari nikharti hain aankhen
karegi zaban dil ki kya tarjumani
sabhi dil ki baaten to karti hain aankhen
in aankhon ko kya husn baKHshega kajal
tujhe dekh kar ye sanwarti hain aankhen
jhalak jab se 'saghar' ne dekhi hai teri
usi din se tujh pe ye marti hain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.