tujhe hi shauq tujhe hi talab pukarta hun
tujhe hī shauq tujhe hī talab pukārtā huuñ
maiñ tere naam ko ab be-sabab pukārtā huuñ
tū ās-pās nahīñ hotā hai agar mere
yaqīn kar maiñ tujhe zer-e-lab pukārtā huuñ
sarāpā ram hai kisī qais kā mire bhītar
maiñ apne jism ko dasht-e-‘arab pukārtā huuñ
tavīl raat ke 'ālam meñ aaj bhī tanhā
jo naam yaad haiñ mujh ko vo sab pukārtā huuñ
pukār saktā huuñ kāfir ke naam se tujh ko
magar tū dekh ki maiñ tujh ko rab pukārtā huuñ
ḳhalā ke paar se āvāz lauT aatī hai
khulī fazā meñ kahīñ 'kāf' jab pukārtā huuñ
tujhe hi shauq tujhe hi talab pukarta hun
main tere nam ko ab be-sabab pukarta hun
tu aas-pas nahin hota hai agar mere
yaqin kar main tujhe zer-e-lab pukarta hun
sarapa ram hai kisi qais ka mere bhitar
main apne jism ko dasht-e-‘arab pukarta hun
tawil raat ke 'alam mein aaj bhi tanha
jo nam yaad hain mujh ko wo sab pukarta hun
pukar sakta hun kafir ke nam se tujh ko
magar tu dekh ki main tujh ko rab pukarta hun
KHala ke par se aawaz lauT aati hai
khuli faza mein kahin 'kaf' jab pukarta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.