tujhe ishq jaur-o-jafa se hai tera kaam jud-o-saKHa nahin
tujhe ishq jaur-o-jafa se hai tera kaam jud-o-saKHa nahin
Girami Chishti
MORE BYGirami Chishti
tujhe ishq jaur-o-jafā se hai tirā kaam jūd-o-saḳhā nahīñ
mujhe sirf is kā malāl hai tujhe pās-e-ahd-e-vafā nahīñ
maiñ kisī kā banda-e-zar nahīñ maiñ kisī ke dar pe jhukā nahīñ
tire mā-sivā do-jahān meñ mirā aur koī ḳhudā nahīñ
abhī hosh aaya hai ham-nashīñ abhī dil ko chain milā nahīñ
zarā kah do fasl-e-bahār se abhī chāk-e-dāmāñ siyā nahīñ
chalīñ laakh āñdhiyāñ zulm kī uThe laakh tūfāñ haiñ jabr ke
jo lahū se ham ne jalā diyā vo charāġh ab bhī bujhā nahīñ
baḌī kaif-āvar haiñ lazzateñ tirī yaad kī tire hijr kī
jo maza hai shām-e-firāq meñ shab-e-vasl meñ vo maza nahīñ
haiñ ye ahl-e-qāfila nā-samajh ye samajh meñ aatā hai ham-nashīñ
use mīr-e-kārvāñ chun liyā jise aap apnā pata nahīñ
vo zarūr ā.eñge ek din vo zarūr ā.eñge bil-yaqīñ
tū kisī kī haañ pe yaqīn na kar ye 'girāmī' dil kī sadā nahīñ
tujhe ishq jaur-o-jafa se hai tera kaam jud-o-saKHa nahin
mujhe sirf is ka malal hai tujhe pas-e-ahd-e-wafa nahin
main kisi ka banda-e-zar nahin main kisi ke dar pe jhuka nahin
tere ma-siwa do-jahan mein mera aur koi KHuda nahin
abhi hosh aaya hai ham-nashin abhi dil ko chain mila nahin
zara kah do fasl-e-bahaar se abhi chaak-e-daman siya nahin
chalin lakh aandhiyan zulm ki uThe lakh tufan hain jabr ke
jo lahu se hum ne jala diya wo charagh ab bhi bujha nahin
baDi kaif-awar hain lazzaten teri yaad ki tere hijr ki
jo maza hai sham-e-firaq mein shab-e-wasl mein wo maza nahin
hain ye ahl-e-qafila na-samajh ye samajh mein aata hai ham-nashin
use mir-e-karwan chun liya jise aap apna pata nahin
wo zarur aaenge ek din wo zarur aaenge bil-yaqin
tu kisi ki han pe yaqin na kar ye 'girami' dil ki sada nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.