Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe jawedan bana de wo iram qubul kar le

Basit Ujjaini

tujhe jawedan bana de wo iram qubul kar le

Basit Ujjaini

MORE BYBasit Ujjaini

    tujhe jāvedāñ banā de vo iram qubūl kar le

    mirā mashvara hai tujh ko koī ġham qubūl kar le

    ba-kamāl-e-azm-e-rāsiḳh sitam qubūl kar le

    kabhī daar tak ga.e the vo qadam qubūl kar le

    ka.ī aur tishna-lab haiñ tirī anjuman meñ saaqī

    maiñ vo bul-havas nahīñ huuñ jo karam qubūl kar le

    rah-o-rasm-e-āshiqī meñ jo vafā ke naam par hoñ

    dil-e-be-qarār hañs kar vo sitam qubūl kar le

    vo ho ka.aba ki mandir ġharaz na rakh kisī se

    tujhe aadmī banā de vo haram qubūl kar le

    ye sujūd-e-ārifāna baḌe kaam ke haiñ lekin

    vahī sajda be-ḳhatā hai jo sanam qubūl kar le

    vo kabhī sharāratan bhī jo atā kareñ to 'bāsit'

    ba-kamāl-e-dil-barāna sitam qubūl kar le

    tujhe jawedan bana de wo iram qubul kar le

    mera mashwara hai tujh ko koi gham qubul kar le

    ba-kamal-e-azm-e-rasiKH tu sitam qubul kar le

    kabhi dar tak gae the wo qadam qubul kar le

    kai aur tishna-lab hain teri anjuman mein saqi

    main wo bul-hawas nahin hun jo karam qubul kar le

    rah-o-rasm-e-ashiqi mein jo wafa ke nam par hon

    dil-e-be-qarar hans kar wo sitam qubul kar le

    wo ho kaba ya ki mandir tu gharaz na rakh kisi se

    tujhe aadmi bana de wo haram qubul kar le

    ye sujud-e-arifana baDe kaam ke hain lekin

    wahi sajda be-KHata hai jo sanam qubul kar le

    wo kabhi shararatan bhi jo ata karen to 'basit'

    ba-kamal-e-dil-barana tu sitam qubul kar le

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now