tujhe kal hi se nahin be-kali na kuchh aaj hi se raha qalaq
tujhe kal hi se nahin be-kali na kuchh aaj hi se raha qalaq
Qalaq Merathi
MORE BYQalaq Merathi
tujhe kal hī se nahīñ be-kalī na kuchh aaj hī se rahā qalaq
tirī umr saarī yūñhī kaTī tū hamesha yūñhī jiyā 'qalaq'
huā dil ke jaane kā ab yaqīñ ki vo dard-e-bar meñ mare nahīñ
na vo iztirāb-e-qazā kahīñ na vo hashr-ḳhez balā 'qalaq'
mujhe hashr kar diyā baiThnā mujhe qahr ho gayā Thaharnā
hai basān-e-sabr gurez-pā nahīñ ġham-gusār mirā qalaq
unheñ naala karne kā rañj kyā unheñ aah bharne kā rañj kyā
unheñ mere marne kā rañj kyā unheñ mere jaane kā kyā qalaq
yahī rashk ne diye mashvare kabhī parda un kā na kholiye
mire jī hī jī meñ phirā kiye mire dil hī dil meñ rahā qalaq
na to ro.e ġhair na ghar rahe na shab-e-firāq meñ mar rahe
na vafā kare na sitam sahe na jafā huī na huā qalaq
na vo maiñ rahā na vo tū rahā na vo aarzū na vo mudda.ā
huā zindagī kā bhī faisla magar ek terā rahā qalaq
rahe laakh sadme nafas nafas jiye kyuuñ ki koī parā.e bas
shab-e-vasl marne kī thī havas shab-e-hijr jiine kā thā qalaq
nahīñ chain un ko bhī ek dam ki hai fikr-e-jaur kā ġham sā ġham
hue mujh pe roz na.e sitam rahā un ko roz nayā qalaq
kare rabt koī kisī se kyā ki uThā tarīq nibāh kā
na karegī tujh se vafā jafā na karegā mujh se vafā qalaq
maiñ jalā to sho.ale meñ josh thā jo huā maiñ ḳhaak hai zalzala
maiñ hazār shakl badal chukā pa kisī tarah na chhupā qalaq
nahīñ tere phirne kā kuchh gila ki zamāna saarā badal gayā
jo shab-e-visāl meñ chain thā vahī roz-e-hijr banā qalaq
vo hai iltifāt dam-e-sitam ki ziyāda is se nahīñ karam
mire chāk-e-dil kā rafū alam mire dard-e-jāñ kī davā qalaq
ga.e vaañ bhī par na ghaTā alam chhuTe sab se par na chhuTā alam
mire paas se na haTā alam mire saath se na Talā qalaq
abhī thā salā-e-zan-e-sabaq abhī thī kitāb-e-varaq-varaq
kabhī madrase meñ rahā 'qalaq' kabhī mai-kade meñ rahā 'qalaq'
tujhe kal hi se nahin be-kali na kuchh aaj hi se raha qalaq
teri umr sari yunhi kaTi tu hamesha yunhi jiya 'qalaq'
hua dil ke jaane ka ab yaqin ki wo dard-e-bar mein mare nahin
na wo iztirab-e-qaza kahin na wo hashr-KHez bala 'qalaq'
mujhe hashr kar diya baiThna mujhe qahr ho gaya Thaharna
hai basan-e-sabr gurez-pa nahin gham-gusar mera qalaq
unhen nala karne ka ranj kya unhen aah bharne ka ranj kya
unhen mere marne ka ranj kya unhen mere jaane ka kya qalaq
yahi rashk ne diye mashware kabhi parda un ka na kholiye
mere ji hi ji mein phira kiye mere dil hi dil mein raha qalaq
na to roe ghair na ghar rahe na shab-e-firaq mein mar rahe
na wafa kare na sitam sahe na jafa hui na hua qalaq
na wo main raha na wo tu raha na wo aarzu na wo muddaa
hua zindagi ka bhi faisla magar ek tera raha qalaq
rahe lakh sadme nafas nafas jiye kyun ki koi parae bas
shab-e-wasl marne ki thi hawas shab-e-hijr jine ka tha qalaq
nahin chain un ko bhi ek dam ki hai fikr-e-jaur ka gham sa gham
hue mujh pe roz nae sitam raha un ko roz naya qalaq
kare rabt koi kisi se kya ki uTha tariq nibah ka
na karegi tujh se wafa jafa na karega mujh se wafa qalaq
main jala to shoale mein josh tha jo hua main KHak hai zalzala
main hazar shakl badal chuka pa kisi tarah na chhupa qalaq
nahin tere phirne ka kuchh gila ki zamana sara badal gaya
jo shab-e-visal mein chain tha wahi roz-e-hijr bana qalaq
wo hai iltifat dam-e-sitam ki ziyaada is se nahin karam
mere chaak-e-dil ka rafu alam mere dard-e-jaan ki dawa qalaq
gae wan bhi par na ghaTa alam chhuTe sab se par na chhuTa alam
mere pas se na haTa alam mere sath se na Tala qalaq
abhi tha sala-e-zan-e-sabaq abhi thi kitab-e-waraq-waraq
kabhi madrase mein raha 'qalaq' kabhi mai-kade mein raha 'qalaq'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.