tujhe KHabar nahin hum par dabao Dale gae
tujhe ḳhabar nahīñ ham par dabāo Daale ga.e
ki tere shahr se nikle nahīñ nikāle ga.e
hue haiñ rusvā hī lekin bahut maza aaya
zabāñ zabāñ tirī bastī meñ ham uchhāle ga.e
abhī abhī yahāñ bāñTī ga.ī hai rāhat-e-jāñ
abhī abhī yahāñ sīnoñ se dil nikāle ga.e
abhī abhī to tirī justujū ko tark kiyā
abhī abhī to mirī eḌiyoñ ke chhāle ga.e
abhī abhī to qayāmat se āshnā hue ham
abhī abhī to kū-e-yār se nikāle ga.e
tujhe KHabar nahin hum par dabao Dale gae
ki tere shahr se nikle nahin nikale gae
hue hain ruswa hi lekin bahut maza aaya
zaban zaban teri basti mein hum uchhaale gae
abhi abhi yahan banTi gai hai rahat-e-jaan
abhi abhi yahan sinon se dil nikale gae
abhi abhi to teri justuju ko tark kiya
abhi abhi to meri eDiyon ke chhaale gae
abhi abhi to qayamat se aashna hue hum
abhi abhi to ku-e-yar se nikale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.