tujhe kho kar kisi se pyar hona chahiye tha
tujhe kho kar kisī se pyaar honā chāhiye thā
hameñ itnā to duniyā-dār honā chāhiye thā
abhī tak khul nahīñ paayā ki terī dāstāñ meñ
hamārā kaun sā kirdār honā chāhiye thā
kisī ke faisle ko mustarad karne se pahle
hameñ bhī ġhair jānib-dār honā chāhiye thā
kahāñ tak us kināre par raheñge ham ki ab to
ye dariyā bhī kahīñ se paar honā chāhiye thā
badalnī chāhiye thī ḳhaak kī tāsīr 'shahzād'
hamāre ḳhuun ko talvār honā chāhiye thā
tujhe kho kar kisi se pyar hona chahiye tha
hamein itna to duniya-dar hona chahiye tha
abhi tak khul nahin paya ki teri dastan mein
hamara kaun sa kirdar hona chahiye tha
kisi ke faisle ko mustarad karne se pahle
hamein bhi ghair jaanib-dar hona chahiye tha
kahan tak us kinare par rahenge hum ki ab to
ye dariya bhi kahin se par hona chahiye tha
badalni chahiye thi KHak ki tasir 'shahzad'
hamare KHun ko talwar hona chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.