tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya maine
tujhe kho kar mohabbat ko ziyāda kar liyā maiñ ne
ye kis hairat meñ ā.īna kushāda kar liyā maiñ ne
mujhe pechīda jazboñ kī kahānī nazm karnā thī
so jitnā ho sakā uslūb saada kar liyā maiñ ne
mohabbat kā sunā thā zaat kī takmīl kartī hai
magar is aarzū meñ ḳhud ko aadhā kar liyā maiñ ne
shikast-e-ḳhvāb par hī ḳhvāb kī buniyād rakhnā thī
dar-e-imkān phir se īstāda kar liyā maiñ ne
na.ī rut meñ mohabbat kā i.aada chāhtā thā vo
purāne tajrabe se istifāda kar liyā maiñ ne
sar-e-sāhil mujhe pīchhe se ab āvāz mat denā
yahāñ se paar jaane kā irāda kar liyā maiñ ne
tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya main ne
ye kis hairat mein aaina kushada kar liya main ne
mujhe pechida jazbon ki kahani nazm karna thi
so jitna ho saka uslub sada kar liya main ne
mohabbat ka suna tha zat ki takmil karti hai
magar is aarzu mein KHud ko aadha kar liya main ne
shikast-e-KHwab par hi KHwab ki buniyaad rakhna thi
dar-e-imkan phir se istada kar liya main ne
nai rut mein mohabbat ka iada chahta tha wo
purane tajrabe se istifada kar liya main ne
sar-e-sahil mujhe pichhe se ab aawaz mat dena
yahan se par jaane ka irada kar liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.