tujhe kis tarah chhuDaun KHalish-e-gham-e-nihan se
tujhe kis tarah chhuḌā.ūñ ḳhalish-e-ġham-e-nihāñ se
dil-e-be-qarār lā.ūñ unheñ DhūñDh kar kahāñ se
vo bahār kaash aa.e vo chale havā-e-dil-kash
ki qafas pe phuul barseñ mirī shāḳh-e-āshiyāñ se
kabhī qāfile se aage kabhī qāfile se pīchhe
na maiñ kārvāñ meñ shāmil na judā huuñ kārvāñ se
mire baa'd kī bahāreñ mirī yādgār hoñgī
ki khileñge phuul aksar mirī ḳhāk-e-rā.egāñ se
abhī muskurā rahī thiiñ mirī aarzū kī kaliyāñ
mujhe le chalā muqaddar sū-e-dām āshiyāñ se
jo jabīñ meñ thā amānat mirā shauq-e-jubba-sā.ī
vo lipaT ke rah gayā hai tire sañg-e-āstāñ se
milī lamha-bhar bhī fursat na 'fazā'-e-ġham-zada ko
vo baras rahe haiñ fitne shab-o-roz āsmāñ se
tujhe kis tarah chhuDaun KHalish-e-gham-e-nihan se
dil-e-be-qarar laun unhen DhunDh kar kahan se
wo bahaar kash aae wo chale hawa-e-dil-kash
ki qafas pe phul barsen meri shaKH-e-ashiyan se
kabhi qafile se aage kabhi qafile se pichhe
na main karwan mein shamil na juda hun karwan se
mere ba'd ki bahaaren meri yaadgar hongi
ki khilenge phul aksar meri KHak-e-raegan se
abhi muskura rahi thin meri aarzu ki kaliyan
mujhe le chala muqaddar su-e-dam aashiyan se
jo jabin mein tha amanat mera shauq-e-jubba-sai
wo lipaT ke rah gaya hai tere sang-e-astan se
mili lamha-bhar bhi fursat na 'faza'-e-gham-zada ko
wo baras rahe hain fitne shab-o-roz aasman se
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 1967)
- Author : Daftar Mahnama Auraq Lahore
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.