Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe kya bataun ai dilruba tere samne mera haal hai

Gham Bijnori

tujhe kya bataun ai dilruba tere samne mera haal hai

Gham Bijnori

MORE BYGham Bijnori

    tujhe kyā batā.ūñ ai dilrubā tire sāmne mirā haal hai

    mujhe justujū hai faqat tirī mujhe sirf terā ḳhayāl hai

    hai nazar meñ merī to merā saañs terā giit hai

    maiñ bhulā sakūñ tujhe dilrubā bhalā kab ye merī majāl hai

    mire jism meñ hai har jagah mire hosh meñ muqīm hai

    maiñ mutī.a huuñ terā dilrubā mire ġham raat hilāl hai

    maiñ to zinda tere dam se huuñ mirī aarzū zindagī

    tirī bevafā.ī ik nazar mirī zindagī savāl hai

    tirī qurbatoñ talab mujhe tirī diid mujhe justujū

    ki baġhair jis ke ai māh-rū mirī zindagī bhī muhāl hai

    sar-e-shām se na jaane kyoñ hai jigar meñ Tiis dard

    tire hijr meñ ai dilrubā yahī ishq zar-o-māl hai

    tire ġham meñ 'ġham' ko milā hai ġham tujhe kis tarah se sukūñ kahūñ

    tire ġham meñ aisī ḳhushī milī jo ki ġham zinda misāl hai

    tujhe kya bataun ai dilruba tere samne mera haal hai

    mujhe justuju hai faqat teri mujhe sirf tera KHayal hai

    hai nazar mein meri to tu hi tu mera sans tera hi git hai

    main bhula sakun tujhe dilruba bhala kab ye meri majal hai

    mere jism mein tu hai har jagah mere hosh mein tu muqim hai

    main mutia hun tera hi dilruba mere gham ki raat hilal hai

    main to zinda tere hi dam se hun meri aarzu ki tu zindagi

    teri bewafai ki ek nazar meri zindagi ka sawal hai

    teri qurbaton ki talab mujhe teri did ki mujhe justuju

    ki baghair jis ke ai mah-ru meri zindagi bhi muhaal hai

    sar-e-sham hi se na jaane kyon hai jigar mein Tis si dard ki

    tere hijr hi mein ai dilruba yahi ishq ka zar-o-mal hai

    tere gham mein 'gham' ko mila hai gham tujhe kis tarah se sukun kahun

    tere gham mein aisi KHushi mili jo ki gham ki zinda misal hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now