tujhe kya bataun main ham-nashin meri zindagi ka jo haal hai
tujhe kya bataun main ham-nashin meri zindagi ka jo haal hai
Shafeeq Barelvi
MORE BYShafeeq Barelvi
tujhe kyā batā.ūñ maiñ ham-nashīñ mirī zindagī kā jo haal hai
na masarratoñ kī koī ḳhushī na ġhamoñ kā koī malāl hai
ye ajab tarah kī hai zindagī na firāq hai na visāl hai
unheñ chhoḌ duuñ ye ravā nahīñ unheñ pā sakūñ ye muhāl hai
ye to sach hai nāseh-e-mohtaram ġham-e-dil kā chāhiye kuchh bharam
na ho mustahqiq-e-jafā bhī jab to vafā kī kis ko majāl hai
mirī har nazar se unheñ gila hai azāb-e-jāñ mirī har adā
karam-o-vafā kā ye hai sila ye mohabbatoñ kā ma.aal hai
mirī baat baat meñ aib hai mirā har ḳhulūs fareb hai
mirā dil bhī kitnā ajiib hai mujhe phir bhī un kā ḳhayāl hai
jahāñ ashk qatra-e-āb hoñ jahāñ naale vaj.h-e-itāb hoñ
vahāñ bār-bār sadā-e-ġham ye niyāz-e-ġham kā kamāl hai
tujhe kya bataun main ham-nashin meri zindagi ka jo haal hai
na masarraton ki koi KHushi na ghamon ka koi malal hai
ye ajab tarah ki hai zindagi na firaq hai na visal hai
unhen chhoD dun ye rawa nahin unhen pa sakun ye muhaal hai
ye to sach hai naseh-e-mohtaram gham-e-dil ka chahiye kuchh bharam
na ho mustahqiq-e-jafa bhi jab to wafa ki kis ko majal hai
meri har nazar se unhen gila hai azab-e-jaan meri har ada
karam-o-wafa ka ye hai sila ye mohabbaton ka maal hai
meri baat baat mein aib hai mera har KHulus fareb hai
mera dil bhi kitna ajib hai mujhe phir bhi un ka KHayal hai
jahan ashk qatra-e-ab hon jahan nale wajh-e-itab hon
wahan bar-bar sada-e-gham ye niyaz-e-gham ka kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.