tujhe kya kya bataun in dinon kaisi guzarti hai
tujhe kyā kyā batā.ūñ in dinoñ kaisī guzartī hai
bichhaḌ kar tujh se mujh par jo guzarnī thī guzartī hai
faqat karvaT badalte biit jaatī haiñ ka.ī sadiyāñ
ghaḌī meñ dekhtā huuñ raat abhī aadhī guzartī hai
na koī din guzartā hai tire baare meñ soche bin
na koī shaam terī yaad se ḳhālī guzartī hai
ye Dhaltī shaam jaise terī āñkheñ uTh ke jhuktī haiñ
guzartī shab to jaise zulf lahrātī guzartī hai
tirī furqat meñ zauq-e-shā.irī hī ik sahārā thā
vagarna ghar ke pīchhe rail kī paTrī guzartī hai
tujhe kya kya bataun in dinon kaisi guzarti hai
bichhaD kar tujh se mujh par jo guzarni thi guzarti hai
faqat karwaT badalte bit jati hain kai sadiyan
ghaDi mein dekhta hun raat abhi aadhi guzarti hai
na koi din guzarta hai tere bare mein soche bin
na koi sham teri yaad se KHali guzarti hai
ye Dhalti sham jaise teri aankhen uTh ke jhukti hain
guzarti shab to jaise zulf lahraati guzarti hai
teri furqat mein zauq-e-shairi hi ek sahaara tha
wagarna ghar ke pichhe rail ki paTri guzarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.