tujhe maine kabhi dekha nahin tha
tujhe maiñ ne kabhī dekhā nahīñ thā
tū har shai meñ hai ye sochā nahīñ thā
jahāñ meñ DhūñDhtā phirtā rahā maiñ
tū mere dil meñ thā samjhā nahīñ thā
jab aaya hosh mujh ko yā-ilāhī
nazar ke sāmne jalva nahīñ thā
tasavvur meñ tujhe dekhā thā maiñ ne
haqīqat hai koī sapnā nahīñ thā
ajab sī be-ḳhudī 'ramman' pe chhā.ī
tirā jalva abhī dekhā nahīñ thā
tujhe main ne kabhi dekha nahin tha
tu har shai mein hai ye socha nahin tha
jahan mein DhunDhta phirta raha main
tu mere dil mein tha samjha nahin tha
jab aaya hosh mujh ko ya-ilahi
nazar ke samne jalwa nahin tha
tasawwur mein tujhe dekha tha main ne
haqiqat hai koi sapna nahin tha
ajab si be-KHudi 'ramman' pe chhai
tera jalwa abhi dekha nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.