tujhe maine pa ke jo kho diya ye mere nasib ki chaal hai
tujhe maiñ ne pā ke jo kho diyā ye mire nasīb kī chaal hai
mire chāra-gar tujhe kyā ḳhabar ki bichhaḌnā kitnā muhāl hai
kisī ġhair se mirī ḳhairiyat tirā pūchhnā bhī to kam nahīñ
mujhe ye yaqīn to ho gayā tujhe ab bhī merā ḳhayāl hai
uThe zalzale chalīñ āñdhiyāñ ye charāġh phir bhī nahīñ bujhā
ye karam nahīñ kisī aur kā tirī rahmatoñ kā kamāl hai
hai ajiib moḌ pe zindagī na to ġham rahā na ḳhushī rahī
na ġhurūr hai na surūr hai na uruuj hai na zavāl hai
tirī bevafā.ī bhulā to duuñ magar is ḳhayāl kā kyā karūñ
mire bas meñ kuchh bhī nahīñ rahā mire dil ke shīshe meñ baal hai
kahīñ titliyoñ kā pata nahīñ ki parinda koī bachā nahīñ
vahī phuul haiñ vahī ḳhaar haiñ vahī peḌ hai vahī Daal hai
vo bichhaḌ ke jiine kā faisla to mujhe bujhā ke chalā gayā
na yaqīn hai na gumān hai na mire laboñ pe savāl hai
yahāñ har taraf haiñ numā.isheñ na diloñ kā chain na rāhateñ
na vo sādgī na vo dil-kashī na vo husn hai na jamāl hai
na vo ḳhvāb āñkhoñ meñ ūñghte na vo raat jagne ke silsile
na vo jañgaloñ kī kahāniyāñ na vo vahshatoñ kā ġhazāl hai
tujhe main ne pa ke jo kho diya ye mere nasib ki chaal hai
mere chaara-gar tujhe kya KHabar ki bichhaDna kitna muhaal hai
kisi ghair se meri KHairiyat tera puchhna bhi to kam nahin
mujhe ye yaqin to ho gaya tujhe ab bhi mera KHayal hai
uThe zalzale chalin aandhiyan ye charagh phir bhi nahin bujha
ye karam nahin kisi aur ka teri rahmaton ka kamal hai
hai ajib moD pe zindagi na to gham raha na KHushi rahi
na ghurur hai na surur hai na uruj hai na zawal hai
teri bewafai bhula to dun magar is KHayal ka kya karun
mere bas mein kuchh bhi nahin raha mere dil ke shishe mein baal hai
kahin titliyon ka pata nahin ki parinda koi bacha nahin
wahi phul hain wahi KHar hain wahi peD hai wahi Dal hai
wo bichhaD ke jine ka faisla to mujhe bujha ke chala gaya
na yaqin hai na guman hai na mere labon pe sawal hai
yahan har taraf hain numaishen na dilon ka chain na rahaten
na wo sadgi na wo dil-kashi na wo husn hai na jamal hai
na wo KHwab aankhon mein unghte na wo raat jagne ke silsile
na wo jangalon ki kahaniyan na wo wahshaton ka ghazal hai
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 45)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.