tujhe talash kisi kamsin-o-hasin ki bas
tujhe talāsh kisī kamsin-o-hasīn kī bas
use hai paisa kamātī huī machine kī bas
qarīb laa.e vo lab ashk mere piine ko
Dakait lūTne aa.e haiñ zā.erīn kī bus
jab apne gaañv meñ utrūñ to shaam utrī ho
maiñ saarī 'umr pakaḌtā rahā huuñ tiin kī bus
har ek shaḳhs hai āzād koī jabr nahīñ
ye ek baat bhī kaafī hai mere diin kī bas
maiñ apne kaam usī ke sipurd kartā huuñ
mujhe ḳhudā se tavaqqo' hai behtarīn kī bas
hameñ ye vahm thā aise hī 'umr sañvregī
shikan sañvārī hai ham ne tirī jabīn kī bas
ye log saḳht haqīqat-pasand hote haiñ
sunūñgā baat mohabbat ke munkirīn kī bas
use maiñ apnī vafā kā subūt kyā detā
ye saarī baat to hotī nahīñ yaqīn kī bas
tamāshā-gāh kī raunaq usī ke dam se hai
sunī ga.ī hai hamesha tamāshbīn kī bas
dil ek ghar thā ise maqbara banāyā gayā
ye aarzū thī kisī āḳhirī makīn kī bas
tujhe talash kisi kamsin-o-hasin ki bas
use hai paisa kamati hui machine ki bas
qarib lae wo lab ashk mere pine ko
Dakait luTne aae hain zaerin ki bus
jab apne ganw mein utrun to sham utri ho
main sari 'umr pakaDta raha hun tin ki bus
har ek shaKHs hai aazad koi jabr nahin
ye ek baat bhi kafi hai mere din ki bas
main apne kaam usi ke sipurd karta hun
mujhe KHuda se tawaqqo' hai behtarin ki bas
hamein ye wahm tha aise hi 'umr sanwregi
shikan sanwari hai hum ne teri jabin ki bas
ye log saKHt haqiqat-pasand hote hain
sununga baat mohabbat ke munkirin ki bas
use main apni wafa ka subut kya deta
ye sari baat to hoti nahin yaqin ki bas
tamasha-gah ki raunaq usi ke dam se hai
suni gai hai hamesha tamashbin ki bas
dil ek ghar tha ise maqbara banaya gaya
ye aarzu thi kisi aaKHiri makin ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.