tum aa gae ho to phir tum se kuchh gila kya hai
tum aa ga.e ho to phir tum se kuchh gila kyā hai
tumhārā roz ye vā'doñ kā silsila kyā hai
ḳhabar nahīñ thī ki ham ko bhī Duub marnā thā
tumhāre 'ishq meñ itnī kaḌī sazā kyā hai
tumhārī aag meñ jal kar baḌā maza aayā
hamāre dil kī ab is ke sivā davā kyā hai
vo kyoñ chalī hai samundar meñ Duub marne ko
koī to rok ke pūchho use huā kyā hai
isī saḌak se to har roz tum guzarte ho
hamīñ se be-ruḳhī itnī tumheñ huā kyā hai
añdherā ghar kā hamārā nasīb hai 'afsar'
hamāre dil ko ujāloñ se vāsta kyā hai
tum aa gae ho to phir tum se kuchh gila kya hai
tumhaara roz ye wa'don ka silsila kya hai
KHabar nahin thi ki hum ko bhi Dub marna tha
tumhaare 'ishq mein itni kaDi saza kya hai
tumhaari aag mein jal kar baDa maza aaya
hamare dil ki ab is ke siwa dawa kya hai
wo kyon chali hai samundar mein Dub marne ko
koi to rok ke puchho use hua kya hai
isi saDak se to har roz tum guzarte ho
hamin se be-ruKHi itni tumhein hua kya hai
andhera ghar ka hamara nasib hai 'afsar'
hamare dil ko ujalon se wasta kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.