tum aag ke dariya mein utar kyon nahin jate
tum aag ke dariyā meñ utar kyoñ nahīñ jaate
sonā ho to phir tap ke nikhar kyoñ nahīñ jaate
hai tum ko agar quvvat-e-bāzū pe bharosa
jis samt meñ tūfāñ hai udhar kyoñ nahīñ jaate
haiñ teġh-o-tabar tīr-o-sināñ mard ke zevar
jab is kī zarūrat hai sañvar kyoñ nahīñ jaate
kyoñ jaate haiñ jangal meñ darindoñ ke shikārī
bastī meñ bhī ik roz bikhar kyoñ nahīñ jaate
mañjdhār meñ rokegī jo maujoñ kī ravānī
dariyā ke kināre se guzar kyoñ nahīñ jaate
sahrā meñ kaḌī dhuup hai jal jāoge 'muztar'
saa.e meñ zarā der Thahar kyoñ nahīñ jaate
tum aag ke dariya mein utar kyon nahin jate
sona ho to phir tap ke nikhar kyon nahin jate
hai tum ko agar quwwat-e-bazu pe bharosa
jis samt mein tufan hai udhar kyon nahin jate
hain tegh-o-tabar tir-o-sinan mard ke zewar
jab is ki zarurat hai sanwar kyon nahin jate
kyon jate hain jangal mein darindon ke shikari
basti mein bhi ek roz bikhar kyon nahin jate
manjdhaar mein rokegi jo maujon ki rawani
dariya ke kinare se guzar kyon nahin jate
sahra mein kaDi dhup hai jal jaoge 'muztar'
sae mein zara der Thahar kyon nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.