tum abas DhunDhte phirte ho kahan rasta tha
tum abas DhūñDhte phirte ho kahāñ rasta thā
ham ne dīvār uThā dī hai jahāñ rasta thā
bas yahī soch ke jangal kī taraf aa nikle
sāhib-e-ḳhvāb batātā hai yahāñ rasta thā
ham hī taqlīd-parastoñ se alag the varna
jis jagah bhiiḌ thī logoñ kī vahāñ rasta thā
maiñ tire shahr-e-tasavvur se abhī lauTā huuñ
peḌ sarsabz the ḳhushbū thī javāñ rasta thā
karbalā jaate hue raah se lauT aayā huuñ
buzdilī dekh mirī nauha-kunāñ rasta thā
tum abas DhunDhte phirte ho kahan rasta tha
hum ne diwar uTha di hai jahan rasta tha
bas yahi soch ke jangal ki taraf aa nikle
sahib-e-KHwab batata hai yahan rasta tha
hum hi taqlid-paraston se alag the warna
jis jagah bhiD thi logon ki wahan rasta tha
main tere shahr-e-tasawwur se abhi lauTa hun
peD sarsabz the KHushbu thi jawan rasta tha
karbala jate hue rah se lauT aaya hun
buzdili dekh meri nauha-kunan rasta tha
RECITATIONS
Aftab Iqbal Shamim,
Adil Lakhnavi,
Abid Ali Baig,
A. R. Rahman,
Akriti Kakkar,
Alam Khursheed,
Aliya Sharafi,
Alok Mishra,
A. R. Rahman,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.