tum apne aap par ehsan kyun nahin karte
tum apne aap par ehsān kyuuñ nahīñ karte
kiyā hai ishq to elaan kyuuñ nahīñ karte
sajā.e phirte ho mahfil na jaane kis kis kī
kabhī parindoñ ko mehmān kyuuñ nahīñ karte
vo dekhte hī nahīñ jo hai manzaroñ se alag
kabhī nigāh ko hairān kyuuñ nahīñ karte
purānī samtoñ meñ chalne kī sab ko aadat hai
na.ī dishāoñ kā vo dhyān kyuuñ nahīñ karte
bas ik charāġh ke bujhne se bujh ga.e 'dānish'
tum āñdhiy.oñ ko pareshān kyuuñ nahīñ karte
tum apne aap par ehsan kyun nahin karte
kiya hai ishq to elan kyun nahin karte
sajae phirte ho mahfil na jaane kis kis ki
kabhi parindon ko mehman kyun nahin karte
wo dekhte hi nahin jo hai manzaron se alag
kabhi nigah ko hairan kyun nahin karte
purani samton mein chalne ki sab ko aadat hai
nai dishaon ka wo dhyan kyun nahin karte
bas ek charagh ke bujhne se bujh gae 'danish'
tum aandhiyon ko pareshan kyun nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.