tum apne sath meri chashm-e-tar bhi le jao
tum apne saath mirī chashm-e-tar bhī le jaao
safar tavīl hai ik ham-safar bhī le jaao
nazar meñ raunaq-e-dīvār-o-dar bhī le jaao
ye kyā ki dasht-navardī meñ ghar bhī le jaao
in āñdhiy.oñ meñ bharosa hī kyā charāġhoñ kā
sajā ke apnī hathelī pe sar bhī le jaao
tum apnī raat sajāo na.e ujāloñ se
hamārā kyā hai hamārā sahar bhī le jaao
mileñge zaḳhm bahut zindagī ke mele meñ
tum apne saath hamārā jigar bhī le jaao
maiñ ek raah kā patthar sahī magar logo
kabhī mujhe kisī aazar ke ghar bhī le jaao
tumhāre haath kī ḳhushbū zarūr mahkegī
hamārī ḳhaak se koī sharar bhī le jaao
maiñ zindagī ke añdheroñ kā dard sah lūñgā
tum apnī yaad ke shams-o-qamar bhī le jaao
maiñ 'badr' ḳhud hī masīhā huuñ apne zaḳhmoñ kā
ye jurm hai to mujhe daar par bhī le jaao
tum apne sath meri chashm-e-tar bhi le jao
safar tawil hai ek ham-safar bhi le jao
nazar mein raunaq-e-diwar-o-dar bhi le jao
ye kya ki dasht-nawardi mein ghar bhi le jao
in aandhiyon mein bharosa hi kya charaghon ka
saja ke apni hatheli pe sar bhi le jao
tum apni raat sajao nae ujalon se
hamara kya hai hamara sahar bhi le jao
milenge zaKHm bahut zindagi ke mele mein
tum apne sath hamara jigar bhi le jao
main ek rah ka patthar sahi magar logo
kabhi mujhe kisi aazar ke ghar bhi le jao
tumhaare hath ki KHushbu zarur mahkegi
hamari KHak se koi sharar bhi le jao
main zindagi ke andheron ka dard sah lunga
tum apni yaad ke shams-o-qamar bhi le jao
main 'badr' KHud hi masiha hun apne zaKHmon ka
ye jurm hai to mujhe dar par bhi le jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.