tum apni zaban Khaali kar ke ai nukta-waro pachhtaoge
tum apnī zabāñ ḳhālī kar ke ai nukta-varo pachhtāoge
maiñ ḳhuub samajhtā huuñ us ko jo baat mujhe samjhāoge
ik maiñ hī nahīñ huuñ tum jis ko jhūTā kah kar bach jāoge
duniyā tumheñ qātil kahtī hai kis ko kis ko jhuTlāoge
yā rāhat-e-dil ban kar aao yā āfat-e-dil ban kar aao!
pahchān hī lūñgā maiñ tum ko jis bhes meñ bhī tum aaoge
har baat bisāt-e-ālam meñ mānind-e-sadā-e-gumbad hai
auroñ ko burā kahne vaalo tum ḳhud bhī bure kahlāoge
phir chain na pāoge 'aḳhtar' is dard kī maarī duniyā meñ
is dar se agar uTh jāoge dar, dar kī Thokar khāoge
tum apni zaban KHali kar ke ai nukta-waro pachhtaoge
main KHub samajhta hun us ko jo baat mujhe samjhaoge
ek main hi nahin hun tum jis ko jhuTa kah kar bach jaoge
duniya tumhein qatil kahti hai kis ko kis ko jhuTlaoge
ya rahat-e-dil ban kar aao ya aafat-e-dil ban kar aao!
pahchan hi lunga main tum ko jis bhes mein bhi tum aaoge
har baat bisat-e-alam mein manind-e-sada-e-gumbad hai
auron ko bura kahne walo tum KHud bhi bure kahlaoge
phir chain na paoge 'aKHtar' is dard ki mari duniya mein
is dar se agar uTh jaoge dar, dar ki Thokar khaoge
- Book : Kulliyat-e-Akhtar Muslimi (Pg. 169)
- Author : Faheem Ahmad
- Publication : Danish Frahi, Ramlila Maidan, Saraye Meer, Azamgrah, U.P. (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.