tum ata-kesh ho raazi-ba-raza hain hum bhi
tum atā-kesh ho rāzī-ba-razā haiñ ham bhī
ishq-parvar hue tum ahl-e-vafā haiñ ham bhī
chāhe kitnā hī vo mahbūb thā kitnā hī aziiz
tum ḳhafā jis se hue us se ḳhafā haiñ ham bhī
chāhe kitnā hī vo mabġhūz rahā ho pahle
jo fidā tum pe huā us pe fidā haiñ ham bhī
tum ne ye lāla-o-gul kī jo sajā.ī mahfil
usī mahfil meñ to bulbul kī sadā haiñ ham bhī
jin ke sajdoñ ne hazāroñ ko banāyā ma.abūd
vo ye kahte haiñ ki logoñ ke ḳhudā haiñ ham bhī
laakh changezoñ kī tajdīd-e-jafā ho tum log
laakh mazlūmoñ ke sīnoñ kī duā haiñ ham bhī
tujh se bas ishq kiyā varna ḳhunāmī the na chor
kyā tamāshā hai ki dar-ḳhurd-e-sazā haiñ ham bhī
tum jo manzil ho to haiñ ham bhī nishān-e-manzil
tum jo qibla ho to haañ qibla-numā haiñ ham bhī
tum ata-kesh ho raazi-ba-raza hain hum bhi
ishq-parwar hue tum ahl-e-wafa hain hum bhi
chahe kitna hi wo mahbub tha kitna hi aziz
tum KHafa jis se hue us se KHafa hain hum bhi
chahe kitna hi wo mabghuz raha ho pahle
jo fida tum pe hua us pe fida hain hum bhi
tum ne ye lala-o-gul ki jo sajai mahfil
usi mahfil mein to bulbul ki sada hain hum bhi
jin ke sajdon ne hazaron ko banaya mabud
wo ye kahte hain ki logon ke KHuda hain hum bhi
lakh changezon ki tajdid-e-jafa ho tum log
lakh mazlumon ke sinon ki dua hain hum bhi
tujh se bas ishq kiya warna KHunami the na chor
kya tamasha hai ki dar-KHurd-e-saza hain hum bhi
tum jo manzil ho to hain hum bhi nishan-e-manzil
tum jo qibla ho to han qibla-numa hain hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.