tum bankpan ye apna dikhate ho hum ko kya
tum bankpan ye apna dikhate ho hum ko kya
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
tum bāñkpan ye apnā dikhāte ho ham ko kyā
qabze pe haath rakh ke Darāte ho ham ko kyā
āñkheñ tumhārī jhapkīñ haiñ īdhar ko beshtar
tum in ishāratoñ se bulāte ho ham ko kyā
aaveñ hamārī gor meñ gar munkar-o-nakīr
itnā kaheñ abhī se uThāte ho ham ko kyā
lā kar kabhī diyā hai koī phuul phal hameñ
tum sair-e-gulsitāñ ko jo jaate ho ham ko kyā
kahte ho ek-ādh kī hai mere hāthoñ maut
ham bhī samajhte haiñ ye sunāte ho ham ko kyā
ham se to ab talak vahī sharm-o-hijāb hai
gar har kisī ke sāmne aate ho ham ko kyā
kahte ho roz ham se yahī kal ko aa.iyo
kyā ḳhū nikālī hai ye satāte ho ham ko kyā
denā hai koī bosa to de Dāliye miyāñ
kyuuñ paañv toḌte ho phirāte ho ham ko kyā
le le ke naam us kī jafāoñ kā 'mus.hafī'
ham aap jal rahe haiñ jalāte ho ham ko kyā
tum bankpan ye apna dikhate ho hum ko kya
qabze pe hath rakh ke Daraate ho hum ko kya
aankhen tumhaari jhapkin hain idhar ko beshtar
tum in ishaaraton se bulate ho hum ko kya
aawen hamari gor mein gar munkar-o-nakir
itna kahen abhi se uThate ho hum ko kya
la kar kabhi diya hai koi phul phal hamein
tum sair-e-gulsitan ko jo jate ho hum ko kya
kahte ho ek-adh ki hai mere hathon maut
hum bhi samajhte hain ye sunate ho hum ko kya
hum se to ab talak wahi sharm-o-hijab hai
gar har kisi ke samne aate ho hum ko kya
kahte ho roz hum se yahi kal ko aaiyo
kya KHu nikali hai ye satate ho hum ko kya
dena hai koi bosa to de Daliye miyan
kyun panw toDte ho phiraate ho hum ko kya
le le ke nam us ki jafaon ka 'mushafi'
hum aap jal rahe hain jalate ho hum ko kya
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.