tum bhi ruThi raho ye gawara nahin
tum bhī rūThī raho ye gavāra nahīñ
hai zamāne meñ koī hamārā nahīñ
'aks jis meñ ho shāmil tumhārā nahīñ
hai sanam vo nazārā nazārā nahīñ
Tiis dil meñ uThī tum ko āvāz dī
maiñ ne ab tak kisī ko pukārā nahīñ
ab bhalā tum se kaise kareñ iltijā
jab tumheñ ham ne dil meñ utārā nahīñ
'ishq meñ Duub kar koī ubhrā kahāñ
Dūbte ko kisī kā sahārā nahīñ
māntā huuñ ki ye dard-o-ġham hai mirā
dosh koī bhī is meñ tumhārā nahīñ
maiñ sunā.ūñ ġhazal kaise 'ātish' bhalā
naam fehrist meñ jab hamārā nahīñ
tum bhi ruThi raho ye gawara nahin
hai zamane mein koi hamara nahin
'aks jis mein ho shamil tumhaara nahin
hai sanam wo nazara nazara nahin
Tis dil mein uThi tum ko aawaz di
main ne ab tak kisi ko pukara nahin
ab bhala tum se kaise karen iltija
jab tumhein hum ne dil mein utara nahin
'ishq mein Dub kar koi ubhra kahan
Dubte ko kisi ka sahaara nahin
manta hun ki ye dard-o-gham hai mera
dosh koi bhi is mein tumhaara nahin
main sunaun ghazal kaise 'atish' bhala
nam fehrist mein jab hamara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.