tum dur ho to pyar ka mausam na aaega
tum duur ho to pyaar kā mausam na aa.egā
ab ke baras bahār kā mausam na aa.egā
chūmūñgā kis kī zulf ghaTāoñ ko dekh kar
ik jurm-e-ḳhush-gavār kā mausam na aa.egā
chhalke sharāb barq gire yā jaleñ charāġh
zikr-e-nigāh-e-yār kā mausam na aa.egā
vāda-ḳhilāfiyoñ ko taras jā.egā yaqīñ
rātoñ ko intizār kā mausam na aa.egā
tujh se bichhaḌ ke zindagī ho jā.egī tavīl
ehsās ke nikhār kā mausam na aa.egā
tum dur ho to pyar ka mausam na aaega
ab ke baras bahaar ka mausam na aaega
chumunga kis ki zulf ghaTaon ko dekh kar
ek jurm-e-KHush-gawar ka mausam na aaega
chhalke sharab barq gire ya jalen charagh
zikr-e-nigah-e-yar ka mausam na aaega
wada-KHilafiyon ko taras jaega yaqin
raaton ko intizar ka mausam na aaega
tujh se bichhaD ke zindagi ho jaegi tawil
ehsas ke nikhaar ka mausam na aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.