tum ghairat-e-nahid ho tum zohra-jabin ho
tum ġhairat-e-nāhīd ho tum zohra-jabīñ ho
tum ko nahīñ ma.alūm ki tum kitne hasīñ ho
ik umr se mushtāq-e-tajallī haiñ nigāheñ
āvāz to do mujh ko kahīñ ho ki nahīñ ho
is qurb meñ bhī buad kā miltā hai qarīna
kahte haiñ ki tum merī rag-e-jāñ ke qarīñ ho
takmīl-e-ibādat kā yahī raaz hai zāhid
vo naqsh-e-qadam bā.is-e-taz.īn-e-jabīñ ho
paḌh kar na sunā ham ko sitāroñ ke sahīfe
shāyad tirī mahfil meñ koī ḳhāk-nashīñ ho
jis moḌ pe bichhḌe the mohabbat ke musāfir
mumkin hai abhī qāfila-e-vaqt vahīñ ho
jo zabt kī tahvīl meñ rah jaa.e simaT kar
vo qatra-e-ḳhūñ kyoñ na mohabbat kā nagīñ ho
betāb-e-tamāsha hai jamāl-e-ruḳh-e-jānāñ
maujūd koī dekhne vaalā to kahīñ ho
kahtī haiñ 'tufail' ab ye bahāroñ kī havā.eñ
phūloñ kī tamanna hai to kāñToñ ke qarīñ ho
tum ghairat-e-nahid ho tum zohra-jabin ho
tum ko nahin malum ki tum kitne hasin ho
ek umr se mushtaq-e-tajalli hain nigahen
aawaz to do mujh ko kahin ho ki nahin ho
is qurb mein bhi buad ka milta hai qarina
kahte hain ki tum meri rag-e-jaan ke qarin ho
takmil-e-ibaadat ka yahi raaz hai zahid
wo naqsh-e-qadam bais-e-tazin-e-jabin ho
paDh kar na suna hum ko sitaron ke sahife
shayad teri mahfil mein koi KHak-nashin ho
jis moD pe bichhDe the mohabbat ke musafir
mumkin hai abhi qafila-e-waqt wahin ho
jo zabt ki tahwil mein rah jae simaT kar
wo qatra-e-KHun kyon na mohabbat ka nagin ho
betab-e-tamasha hai jamal-e-ruKH-e-jaanan
maujud koi dekhne wala to kahin ho
kahti hain 'tufail' ab ye bahaaron ki hawaen
phulon ki tamanna hai to kanTon ke qarin ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.