tum hi nahin ho dushman-e-jaan aur bhi to hain
tum hī nahīñ ho dushman-e-jāñ aur bhī to haiñ
dil meñ hazār zaḳhm nihāñ aur bhī to haiñ
har chand rasm-o-rāh-e-mohabbat bhī hai zarūr
'ahmar' jahāñ meñ kār-e-jahāñ aur bhī to haiñ
kis dil se daad duuñ maiñ tire iltifāt kī
dil meñ jarāhatoñ ke nishāñ aur bhī to haiñ
ik ham hī kyoñ haiñ lā.eq-e-tāzīr nāsehā
āsūdagān-e-kū-e-butāñ aur bhī to haiñ
ik un ke iltifāt pe kuchh munhasir nahīñ
is rahguzar meñ sang-e-girāñ aur bhī to haiñ
takmīl-e-shauq-e-dīd agar ho ga.ī to kyā
andesha-hā-e-sūd-o-ziyāñ aur bhī to haiñ
'ahmar' bas ek tum hī nahīñ sīna-tāb-e-shauq
is anjuman meñ sho.ala-ba-jāñ aur bhī to haiñ
tum hi nahin ho dushman-e-jaan aur bhi to hain
dil mein hazar zaKHm nihan aur bhi to hain
har chand rasm-o-rah-e-mohabbat bhi hai zarur
'ahmar' jahan mein kar-e-jahan aur bhi to hain
kis dil se dad dun main tere iltifat ki
dil mein jarahaton ke nishan aur bhi to hain
ek hum hi kyon hain laeq-e-tazir naseha
aasudagan-e-ku-e-butan aur bhi to hain
ek un ke iltifat pe kuchh munhasir nahin
is rahguzar mein sang-e-giran aur bhi to hain
takmil-e-shauq-e-did agar ho gai to kya
andesha-ha-e-sud-o-ziyan aur bhi to hain
'ahmar' bas ek tum hi nahin sina-tab-e-shauq
is anjuman mein shoala-ba-jaan aur bhi to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.