tum hi se tawaqqo nahin auron se gila kya
tum hī se tavaqqo nahīñ auroñ se gila kyā
koī mirā apnā ho to kyā aur ḳhudā kyā
dhaḌkan kabhī dhīmī hai kabhī tez bahut hai
ḳhud se maiñ yahī pūchhtā huuñ mujh ko huā kyā
ik bekas-o-majbūr hai sarzad hoñ gunah kyā
nā-karda gunāhoñ kī bhī miltī hai sazā kyā
maiñ ne to tire pyaar meñ har chiiz luTā dī
juz terī jafāoñ ke mujhe aur milā kyā
maiñ tajziya kartā huuñ har ik baat kā aksar
sach aur nahīñ kuchh bhī yahāñ tere sivā kyā
ulfat ko parakhne ke haiñ mīzān alag se
iḳhlās mirā chiiz hai kyā aur vafā kyā
tum hi se tawaqqo nahin auron se gila kya
koi mera apna ho to kya aur KHuda kya
dhaDkan kabhi dhimi hai kabhi tez bahut hai
KHud se main yahi puchhta hun mujh ko hua kya
ek bekas-o-majbur hai sarzad hon gunah kya
na-karda gunahon ki bhi milti hai saza kya
main ne to tere pyar mein har chiz luTa di
juz teri jafaon ke mujhe aur mila kya
main tajziya karta hun har ek baat ka aksar
sach aur nahin kuchh bhi yahan tere siwa kya
ulfat ko parakhne ke hain mizan alag se
iKHlas mera chiz hai kya aur wafa kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.