tum ho ki mahtab hai hai pairahan mein kaun
tum ho ki mahtab hai hai pairahan mein kaun
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
tum ho ki māhtāb hai hai pairahan meñ kaun
dekho qabā baḌhā ke hai ujlā badan meñ kaun
dil meñ agar nahīñ hai ḳhayāl-e-lab-e-malīh
bhartā namak hai zaḳhm-e-jigar ke dahan meñ kaun
sayyād kā gumāñ thā ki aahaT nasīm kī
khaTke pe bulbuloñ ne pukārā chaman meñ kaun
shauq-e-fanā meñ ye hai vo mushtāq-e-qatl hai
aage chalegā dekhiye rūh-o-badan meñ kaun
shāna jhaTak jhaTak ke vo kahte haiñ baar baar
uljhā huā hai zulf-e-shikan-dar-shikan meñ kaun
bāhar nikal ke parde se hai qadr husn kī
yūsuf ko jāntā hī thā pahle vatan meñ kaun
dil hai na jaan hai na jigar hai na chārāgar
sach hai sharīk hotā hai ranj-o-mehan meñ kaun
haañ is taraf bhī ek nazar duur se sahī
baiThā hai o qarīb-e-adū anjuman meñ kaun
marnā qubūl josh-e-junūñ meñ mujhe magar
leTā rahegā murde kī sūrat kafan meñ kaun
ġhurbat meñ rahte rahte zamāna guzar gayā
'sho.ala' agar ga.e bhī milegā vatan meñ kaun
tum ho ki mahtab hai hai pairahan mein kaun
dekho qaba baDha ke hai ujla badan mein kaun
dil mein agar nahin hai KHayal-e-lab-e-malih
bharta namak hai zaKHm-e-jigar ke dahan mein kaun
sayyaad ka guman tha ki aahaT nasim ki
khaTke pe bulbulon ne pukara chaman mein kaun
shauq-e-fana mein ye hai wo mushtaq-e-qatl hai
aage chalega dekhiye ruh-o-badan mein kaun
shana jhaTak jhaTak ke wo kahte hain bar bar
uljha hua hai zulf-e-shikan-dar-shikan mein kaun
bahar nikal ke parde se hai qadr husn ki
yusuf ko jaanta hi tha pahle watan mein kaun
dil hai na jaan hai na jigar hai na chaaragar
sach hai sharik hota hai ranj-o-mehan mein kaun
han is taraf bhi ek nazar dur se sahi
baiTha hai o qarib-e-adu anjuman mein kaun
marna qubul josh-e-junun mein mujhe magar
leTa rahega murde ki surat kafan mein kaun
ghurbat mein rahte rahte zamana guzar gaya
'shoala' agar gae bhi milega watan mein kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.