tum ho taswir-e-wafa maine kab inkar kiya
tum ho tasvīr-e-vafā maiñ ne kab inkār kiyā
mujh se hotī hai ḳhatā maiñ ne kab inkār kiyā
aisā hotā hī nahīñ bismil-e-hasrat kā lahū
ye to hai rang-e-hinā maiñ ne kab inkār kiyā
har zamāne meñ rahī ahl-e-mohabbat ke liye
haañ yahī rasm-e-jafā maiñ ne kab inkār kiyā
ḳhanjar-e-abrū-e-ḳhamdār kī ḳhātir manzūr
merā hāzir hai galā maiñ ne kab inkār kiyā
maiñ ne tashkīk se paa.ī hai yaqīñ kī manzil
tū hai aalam kā ḳhudā maiñ ne kab inkār kiyā
jab jalānā tirī aadat hai to ai barq-e-tapāñ
aa nasheman bhī jalā maiñ ne kab inkār kiyā
pārsā.ī kī sanad kis ko mile kyā mālūm
sāqiyā jaam uThā maiñ ne kab inkār kiyā
ai ḳhudā hashr meñ har choT ko taaza kar de
aur purvā.ī chalā maiñ ne kab inkār kiyā
us kī chaukhaT pe jhukāyā hai jabīñ ko 'sīmā'
vo jazā de ki sazā maiñ ne kab inkār kiyā
tum ho taswir-e-wafa main ne kab inkar kiya
mujh se hoti hai KHata main ne kab inkar kiya
aisa hota hi nahin bismil-e-hasrat ka lahu
ye to hai rang-e-hina main ne kab inkar kiya
har zamane mein rahi ahl-e-mohabbat ke liye
han yahi rasm-e-jafa main ne kab inkar kiya
KHanjar-e-abru-e-KHamdar ki KHatir manzur
mera hazir hai gala main ne kab inkar kiya
main ne tashkik se pai hai yaqin ki manzil
tu hai aalam ka KHuda main ne kab inkar kiya
jab jalana teri aadat hai to ai barq-e-tapan
aa nasheman bhi jala main ne kab inkar kiya
parsai ki sanad kis ko mile kya malum
saqiya jam uTha main ne kab inkar kiya
ai KHuda hashr mein har choT ko taza kar de
aur purwai chala main ne kab inkar kiya
us ki chaukhaT pe jhukaya hai jabin ko 'sima'
wo jaza de ki saza main ne kab inkar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.