tum itna muKHtasar kyon bolti ho
tum itnā muḳhtasar kyoñ boltī ho
ki jaise ik mujassam ḳhāmushī ho
sar-e-mahfil nigāheñ kah chukī haiñ
mire kānoñ meñ tum jo kah rahī ho
musalsal hichkiyāñ aane lagī haiñ
mire baare meñ kitnā sochtī ho
mujhe kahtī ho maiñ sab bhuul jā.ūñ
ḳhud ab bhī merī ġhazleñ paḌh rahī ho
udāsī dil meñ yuuñ utrī hai jaise
koī jaun eliyā kī shā.erī ho
ka.ī din ho ga.e bechain huuñ maiñ
ka.ī rātoñ se tum bhī jāgtī ho
tum itna muKHtasar kyon bolti ho
ki jaise ek mujassam KHamushi ho
sar-e-mahfil nigahen kah chuki hain
mere kanon mein tum jo kah rahi ho
musalsal hichkiyan aane lagi hain
mere bare mein kitna sochti ho
mujhe kahti ho main sab bhul jaun
KHud ab bhi meri ghazlen paDh rahi ho
udasi dil mein yun utri hai jaise
koi jaun eliya ki shaeri ho
kai din ho gae bechain hun main
kai raaton se tum bhi jagti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.