tum jaan-e-arzu ho nashat-e-KHayal ho
tum jān-e-ārzū ho nashāt-e-ḳhayāl ho
kyā duuñ bhalā misāl ki tum be-misāl ho
dekhā hai jab se tum ko ajab haal hai mirā
lagtā hai jaise tum hī mire ham-ḳhayāl ho
milne kī aarzū meñ kabhī is tarah mileñ
duniyā kare judā to bichhaḌnā muhāl ho
laa.eñ kahāñ se jur.at-e-iz.hār-e-mudda.ā
aise meñ jabki apnī hī hālat niDhāl ho
maiñ phir rahī huuñ saa.e ke pīchhe ye soch kar
shāyad ki is tarah se tabī.at bahāl ho
ḳhud ko 'ġhazal' akelī samajhtī ho kis liye
ye kaun jaane tum bhī kisī kā ḳhayāl ho
tum jaan-e-arzu ho nashat-e-KHayal ho
kya dun bhala misal ki tum be-misal ho
dekha hai jab se tum ko ajab haal hai mera
lagta hai jaise tum hi mere ham-KHayal ho
milne ki aarzu mein kabhi is tarah milen
duniya kare juda to bichhaDna muhaal ho
laen kahan se jurat-e-izhaar-e-muddaa
aise mein jabki apni hi haalat niDhaal ho
main phir rahi hun sae ke pichhe ye soch kar
shayad ki is tarah se tabiat bahaal ho
KHud ko 'ghazal' akeli samajhti ho kis liye
ye kaun jaane tum bhi kisi ka KHayal ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.