tum jo har waqt mujh mein hazir ho
tum jo har vaqt mujh meñ hāzir ho
mo'jiza ho koī yā sāhir ho
kaash ḳhvāboñ se tum nikal aao
aur mujassam mire bazāhir ho
baat khul ke karo jo dil meñ hai
mudda'ā taaki khul ke zāhir ho
merī rūdād-e-zindagī meñ bas
tum hī avval ho tum hī āḳhir ho
aisā kuchh ḳhaas chāhiye tum meñ
sirf ḳhālis jo merī ḳhātir ho
tazkira karte ho raqīboñ kā
dil jalāne meñ kaafī māhir ho
dil dukhā kar bhī dil pe qābiz ho
saada ho yā baḌe hī shātir ho
aadmī maut se nahīñ Dartā
ḳhud hī gar qabr kā mujāvir ho
chain mumkin nahīñ tumheñ aa.e
tum miyāñ is jahāñ ke shā'ir ho
tum jo har waqt mujh mein hazir ho
mo'jiza ho koi ya sahir ho
kash KHwabon se tum nikal aao
aur mujassam mere bazahir ho
baat khul ke karo jo dil mein hai
mudda'a taki khul ke zahir ho
meri rudad-e-zindagi mein bas
tum hi awwal ho tum hi aaKHir ho
aisa kuchh KHas chahiye tum mein
sirf KHalis jo meri KHatir ho
tazkira karte ho raqibon ka
dil jalane mein kafi mahir ho
dil dukha kar bhi dil pe qabiz ho
sada ho ya baDe hi shatir ho
aadmi maut se nahin Darta
KHud hi gar qabr ka mujawir ho
chain mumkin nahin tumhein aae
tum miyan is jahan ke sha'ir ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.