tum kabhi aable pairon pe saja kar dekho
tum kabhī aable pairoñ pe sajā kar dekho
āgahī miltī hai sahrāoñ meñ jā kar dekho
arsa-e-ḳhvāb ke asrār khuleñge tum par
apnī āvāz meñ kuchh soz rachā kar dekho
shāḳh-dar-shāḳh qayāmat kā fuġhāñ uTThegā
phuul par baiThī huī titlī uḌā kar dekho
kis qadar hotā hai tārāj sukūn-e-gulshan
phuul se tū zarā titlī ko girā kar dekho
rad nahīñ hotī kabhī sunte yahī aa.e haiñ
chāñdnī raat meñ milne kī duā kar dekho
muntazir kaun khaḌā kaun paḌā hai dar par
tum laTaktī huī chilman ko haTā kar dekho
ban bhī saktā hai mohabbat kā fasāna 'ādil'
tum use rakhnā sadā dil meñ chhupā kar dekho
tum kabhi aable pairon pe saja kar dekho
aagahi milti hai sahraon mein ja kar dekho
arsa-e-KHwab ke asrar khulenge tum par
apni aawaz mein kuchh soz racha kar dekho
shaKH-dar-shaKH qayamat ka fughan uTThega
phul par baiThi hui titli uDa kar dekho
kis qadar hota hai taraj sukun-e-gulshan
phul se tu zara titli ko gira kar dekho
rad nahin hoti kabhi sunte yahi aae hain
chandni raat mein milne ki dua kar dekho
muntazir kaun khaDa kaun paDa hai dar par
tum laTakti hui chilman ko haTa kar dekho
ban bhi sakta hai mohabbat ka fasana 'adil'
tum use rakhna sada dil mein chhupa kar dekho
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.