tum kahan mujhse mulaqat ko aa sakte ho
tum kahāñ mujh se mulāqāt ko aa sakte ho
chaltī gaaḌī se faqat haath hilā sakte ho
yuuñ nahīñ hai ki har ik ḳhvāb ko ta.abīr mile
aisā kab hai jise chāho use pā sakte ho
mere jaise ho to hāzir haiñ mire qalb-o-nazar
auroñ jaise ho to phir shauq se jā sakte ho
lāzmī ye bhī kahāñ hai ki hamāre hī raho
daf.atan aur kisī ko bhī to bhā sakte ho
āsmānoñ se mire vāste raushan taare
bātoñ bātoñ meñ sahī toḌ ke lā sakte ho
tum ko to vus.at-e-iz.hār pe hai itnā ubuur
jam ke ik sher agar kah do to chhā sakte ho
maiñ zamāne meñ mohabbat kī sadā bāñTtī huuñ
merī āvāz meñ āvāz milā sakte ho
tum kahan mujh se mulaqat ko aa sakte ho
chalti gaDi se faqat hath hila sakte ho
yun nahin hai ki har ek KHwab ko tabir mile
aisa kab hai jise chaho use pa sakte ho
mere jaise ho to hazir hain mere qalb-o-nazar
auron jaise ho to phir shauq se ja sakte ho
lazmi ye bhi kahan hai ki hamare hi raho
dafatan aur kisi ko bhi to bha sakte ho
aasmanon se mere waste raushan tare
baaton baaton mein sahi toD ke la sakte ho
tum ko to wusat-e-izhaar pe hai itna ubur
jam ke ek sher agar kah do to chha sakte ho
main zamane mein mohabbat ki sada banTti hun
meri aawaz mein aawaz mila sakte ho
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.