tum KHud hi mohabbat ki har ek baat bhula do
tum ḳhud hī mohabbat kī har ik baat bhulā do
phir ḳhud hī mujhe tark-e-mohabbat kī sazā do
himmat hai to phir saarā samundar hai tumhārā
sāhil pe pahuñch jaao to kashtī ko jalā do
iqrār-e-mohabbat hai na inkār-e-mohabbat
tum chāhte kyā ho hameñ itnā to batā do
khul jaa.e na āñkhoñ se kahīñ rāz-e-mohabbat
achchhā hai ki tum ḳhud mujhe mahfil se uThā do
sachchā.ī to ḳhud chehre pe ho jaatī hai tahrīr
da.ave jo kareñ log to ā.īna dikhā do
insān ko insān se taklīf hai 'aḳhgar'
insān ko tajdīd-e-mohabbat kī duā do
tum KHud hi mohabbat ki har ek baat bhula do
phir KHud hi mujhe tark-e-mohabbat ki saza do
himmat hai to phir sara samundar hai tumhaara
sahil pe pahunch jao to kashti ko jala do
iqrar-e-mohabbat hai na inkar-e-mohabbat
tum chahte kya ho hamein itna to bata do
khul jae na aankhon se kahin raaz-e-mohabbat
achchha hai ki tum KHud mujhe mahfil se uTha do
sachchai to KHud chehre pe ho jati hai tahrir
dawe jo karen log to aaina dikha do
insan ko insan se taklif hai 'aKHgar'
insan ko tajdid-e-mohabbat ki dua do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.