tumko bas apni zat ka dukh hai
tum ko bas apnī zaat kā dukh hai
par mujhe kā.enāt kā dukh hai
sham.a mujh ko tire sulagne kā
aur terī hayāt kā dukh hai
sub.h sūraj ḳhushī kā niklegā
dukh ye bas ek raat kā dukh hai
zindagī kaise tum guzāroge
tum ko jo baat baat kā dukh hai
ġham nahīñ hai jahāñ se haar ga.e
par muqaddar se maat kā dukh hai
ishq is moḌ par hai le aaya
ki mujhe iltifāt kā dukh hai
'sād' kyā ho gayā ise āḳhir
dil ko ġham se najāt kā dukh hai
tum ko bas apni zat ka dukh hai
par mujhe kaenat ka dukh hai
shama mujh ko tere sulagne ka
aur teri hayat ka dukh hai
subh suraj KHushi ka niklega
dukh ye bas ek raat ka dukh hai
zindagi kaise tum guzaroge
tum ko jo baat baat ka dukh hai
gham nahin hai jahan se haar gae
par muqaddar se mat ka dukh hai
ishq is moD par hai le aaya
ki mujhe iltifat ka dukh hai
'sad' kya ho gaya ise aaKHir
dil ko gham se najat ka dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.