tumko bas ehsan ginane hote hain
tum ko bas ehsān gināne hote haiñ
ham logoñ ko qarz chukāne hote haiñ
jhūTe hote haiñ jin logoñ ke sapne
un logoñ ke ek Thikāne hote haiñ
har rishte meñ kyā hotā hai sab ke saath
saath kisī ke saal bitāne hote haiñ
break-up ho to ek musībat ye bhī hai
tattō vaale naam miTāne hote haiñ
us laḌkī ko har thoḌe din meñ mujh ko
achchhe lamhe yaad dilāne hote haiñ
ik laḌkī kā dost banā to jaanā ye
us ke bhī apne afsāne hote haiñ
yaar sharāb pilāo thoḌī phir dekho
kaise apne yaar divāne hote haiñ
jin logoñ ke ġham meñ barkat hotī hai
un logoñ ke nam sir.hāne hote haiñ
niiñd se banjar lagtī haiñ jo do āñkheñ
un āñkhoñ meñ ḳhvāb suhāne hote haiñ
tum ko bas ehsan ginane hote hain
hum logon ko qarz chukane hote hain
jhuTe hote hain jin logon ke sapne
un logon ke ek Thikane hote hain
har rishte mein kya hota hai sab ke sath
sath kisi ke sal bitane hote hain
break-up ho to ek musibat ye bhi hai
tattoo wale nam miTane hote hain
us laDki ko har thoDe din mein mujh ko
achchhe lamhe yaad dilane hote hain
ek laDki ka dost bana to jaana ye
us ke bhi apne afsane hote hain
yar sharab pilao thoDi phir dekho
kaise apne yar diwane hote hain
jin logon ke gham mein barkat hoti hai
un logon ke nam sirhane hote hain
nind se banjar lagti hain jo do aankhen
un aankhon mein KHwab suhane hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.