tumko ehsas ki daulat nahin milne wali
tum ko ehsās kī daulat nahīñ milne vaalī
mar ke bhī mujh ko mohabbat nahīñ milne vaalī
khā liye vaqt kī talḳhī ne surīle lahje
ab vo pahlī sī halāvat nahīñ milne vaalī
ye na.e daur ke bachche haiñ baḌe lagte haiñ
in meñ mā'sūm sharārat nahīñ milne vaalī
zabt karne se guzārā nahīñ hone vaalā
zulm sahne se sharāfat nahīñ milne vaalī
gar musallat hī rahā ham pe ghuTan kā mausam
saañs to hasb-e-zarūrat nahīñ milne vaalī
chūñki ab zar ne ḳharīdī hai siyāhī 'aḳhtar'
ab kisī harf ko hurmat nahīñ milne vaalī
tum ko ehsas ki daulat nahin milne wali
mar ke bhi mujh ko mohabbat nahin milne wali
kha liye waqt ki talKHi ne surile lahje
ab wo pahli si halawat nahin milne wali
ye nae daur ke bachche hain baDe lagte hain
in mein ma'sum shararat nahin milne wali
zabt karne se guzara nahin hone wala
zulm sahne se sharafat nahin milne wali
gar musallat hi raha hum pe ghuTan ka mausam
sans to hasb-e-zarurat nahin milne wali
chunki ab zar ne KHaridi hai siyahi 'aKHtar'
ab kisi harf ko hurmat nahin milne wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.