tumko hamara pyar gawara nahin hua
tum ko hamārā pyaar gavārā nahīñ huā
to kyā ye donoñ kā hī ḳhasāra nahīñ huā
āñkhoñ meñ zaḳhm le ke palaT kar ham aa ga.e
manzar vahāñ koī bhī hamārā nahīñ huā
tum āḳhirī the jis ke liye mar rahā thā maiñ
phir mujh ko koī jaan se pyārā nahīñ huā
mujh se tujhe gila hai magar ḳhud ko bhī to dekh
tū bhī to merā saare kā saarā nahīñ huā
vo aise mutma.in hai mujhe chhoḌte hue
jaise ki maiñ ne hijr guzārā nahīñ huā
tum ko hamara pyar gawara nahin hua
to kya ye donon ka hi KHasara nahin hua
aankhon mein zaKHm le ke palaT kar hum aa gae
manzar wahan koi bhi hamara nahin hua
tum aaKHiri the jis ke liye mar raha tha main
phir mujh ko koi jaan se pyara nahin hua
mujh se tujhe gila hai magar KHud ko bhi to dekh
tu bhi to mera sare ka sara nahin hua
wo aise mutmain hai mujhe chhoDte hue
jaise ki main ne hijr guzara nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.