tumko paya naqd-e-hasti raegan hone ke baad
tum ko paayā naqd-e-hastī rā.egāñ hone ke baad
daulat-e-nau haath aa.ī be-nishāñ hone ke baad
jaam gir kar haath se zer-e-asā hai chūr-chūr
kyā ji.eñ ham rind pīr-e-nā-tavāñ hone ke baad
tere lab par aur harf-e-nā-umīdī ai nadīm
ye sitam ahl-e-vafā kā rāz-dāñ hone ke baad
azm-e-masjid se tulū-e-sub.h se kuchh peshtar
zeb-e-mai-ḳhāna huuñ maġhrib kī azaañ hone ke baad
ḳhār-o-ḳhas phūñke lagā dī barq ne ḳhirman meñ aag
sadma-e-gul bhī hai dāġh-e-āshiyāñ hone ke baad
pās-e-rabt-e-ġhair ham se chhoḌ kar rasm-e-qadīm
inqalāb-e-vaz.a-dārī mehrbāñ hone ke baad
kyā sitam-hā-e-azīzāñ kī shikāyat kījiye
ishq meñ pāmāl-e-jaur-e-āsmāñ hone ke baad
uf kahā kis dard se paiġhām yārān-e-qafas
qabr-e-bulbul par sabā ne gul-fishāñ hone ke baad
marg-e-ġhurbat parda-e-rusvā.ī-e-ulfat huī
tum duā.eñ do ajal ko shādmāñ hone ke baad
ḳhaak ho jaanā hujūm-e-ārzū kā haa.e haa.e
jāda-e-rāh-e-mohabbat meñ ravāñ hone ke baad
tum ko paya naqd-e-hasti raegan hone ke baad
daulat-e-nau hath aai be-nishan hone ke baad
jam gir kar hath se zer-e-asa hai chur-chur
kya jien hum rind pir-e-na-tawan hone ke baad
tere lab par aur harf-e-na-umidi ai nadim
ye sitam ahl-e-wafa ka raaz-dan hone ke baad
azm-e-masjid se tulu-e-subh se kuchh peshtar
zeb-e-mai-KHana hun maghrib ki azan hone ke baad
KHar-o-KHas phunke laga di barq ne KHirman mein aag
sadma-e-gul bhi hai dagh-e-ashiyan hone ke baad
pas-e-rabt-e-ghair hum se chhoD kar rasm-e-qadim
inqalab-e-waza-dari mehrban hone ke baad
kya sitam-ha-e-azizan ki shikayat kijiye
ishq mein pamal-e-jaur-e-asman hone ke baad
uf kaha kis dard se paigham yaran-e-qafas
qabr-e-bulbul par saba ne gul-fishan hone ke baad
marg-e-ghurbat parda-e-ruswai-e-ulfat hui
tum duaen do ajal ko shadman hone ke baad
KHak ho jaana hujum-e-arzu ka hae hae
jada-e-rah-e-mohabbat mein rawan hone ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.