tumko ye hai agar yaqin dil mein wo jalwa-gar nahin
tumko ye hai agar yaqin dil mein wo jalwa-gar nahin
Bismil Allahabadi
MORE BYBismil Allahabadi
Interesting Fact
Mushaira on 04 Nov 1926 at Banaras Queens College
tum ko ye hai agar yaqīñ dil meñ vo jalva-gar nahīñ
DhūñDhā karo tamām umr milne kā umr-bhar nahīñ
aa.e na aa.e be-ḳhabar kyā tujhe ye ḳhabar nahīñ
saañs kā e'tibār kyā shaam hai to sahar nahīñ
dair ho ka.aba ho ki dil kis meñ vo jalva-gar nahīñ
dekh sakūñ magar use itnī mirī nazar nahīñ
kunj-e-qafas meñ andalīb muztar-o-bekas-o-ġharīb
kahne ko bāl-o-par to haiñ uḌne ko bāl-o-par nahīñ
dil meñ balā kā josh hai sar liye sarfarosh hai
jiine kā hosh hai kahāñ marne kā us ko Dar nahīñ
toḌ rahā hai aaj dam ġham meñ koī marīz-e-ġham
phir bhī haiñ aap be-ḳhabar aap ko kuchh ḳhabar nahīñ
jaan ga.e ye mar ke ham mulk-e-adam thā do-qadam
ḳhatm ho jald jo safar aisā koī safar nahīñ
parde meñ aap baiTh kar rakhte haiñ har taraf nazar
aur zabān par ye hai shoḳh mirī nazar nahīñ
lab pe hai nāra-e-alast jhuum rahā hai koī mast
chhā.ī hai aisī be-ḳhudī apnī use ḳhabar nahīñ
uf ye mirā nasīb-e-bad jā ke banī kahāñ lahad
sab kī hai rahguzar jahāñ aap kī rahguzar nahīñ
baat ye tum ne sach kahī 'bismil' be-hunar sahī
ye bhī hai ik baḌā hunar is meñ koī hunar nahīñ
tum ko ye hai agar yaqin dil mein wo jalwa-gar nahin
DhunDha karo tamam umr milne ka umr-bhar nahin
aae na aae be-KHabar kya tujhe ye KHabar nahin
sans ka e'tibar kya sham hai to sahar nahin
dair ho kaba ho ki dil kis mein wo jalwa-gar nahin
dekh sakun magar use itni meri nazar nahin
kunj-e-qafas mein andalib muztar-o-bekas-o-gharib
kahne ko baal-o-par to hain uDne ko baal-o-par nahin
dil mein bala ka josh hai sar liye sarfarosh hai
jine ka hosh hai kahan marne ka us ko Dar nahin
toD raha hai aaj dam gham mein koi mariz-e-gham
phir bhi hain aap be-KHabar aap ko kuchh KHabar nahin
jaan gae ye mar ke hum mulk-e-adam tha do-qadam
KHatm ho jald jo safar aisa koi safar nahin
parde mein aap baiTh kar rakhte hain har taraf nazar
aur zaban par ye hai shoKH meri nazar nahin
lab pe hai nara-e-alast jhum raha hai koi mast
chhai hai aisi be-KHudi apni use KHabar nahin
uf ye mera nasib-e-bad ja ke bani kahan lahad
sab ki hai rahguzar jahan aap ki rahguzar nahin
baat ye tum ne sach kahi 'bismil' be-hunar sahi
ye bhi hai ek baDa hunar is mein koi hunar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.