tumko ye lag raha tha ki pichha karenge hum
tum ko ye lag rahā thā ki pīchhā kareñge ham
yā'nī ki 'ishq tum se dubāra kareñge ham
vo bār-e-zīst ho yā judā.ī tirī sanam
hargiz ḳhudā ke ghar meñ na shikva kareñge ham
bachchoñ kī fees maañ ki davāoñ kā farz bhī
itnī sī ik kamā.ī meñ kyā kyā kareñge ham
kyā kyā mirī ḳhatā.eñ thiiñ kyoñ vo judā huā
pahroñ yahī firāq meñ sochā kareñge ham
ye 'ishq dūsrā hai so lāzim hai ehtiyāt
yā'nī qadam sañbhāl ke rakkhā kareñge ham
anjām jānte haiñ ki sahrā hai jab 'asar'
kār-e-jahāñ meñ vaqt na zaa.e' kareñge ham
tum ko ye lag raha tha ki pichha karenge hum
ya'ni ki 'ishq tum se dubara karenge hum
wo bar-e-zist ho ya judai teri sanam
hargiz KHuda ke ghar mein na shikwa karenge hum
bachchon ki fees man ki dawaon ka farz bhi
itni si ek kamai mein kya kya karenge hum
kya kya meri KHataen thin kyon wo juda hua
pahron yahi firaq mein socha karenge hum
ye 'ishq dusra hai so lazim hai ehtiyat
ya'ni qadam sanbhaal ke rakkha karenge hum
anjam jaante hain ki sahra hai jab 'asar'
kar-e-jahan mein waqt na zae' karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.