tum mera intiKHab tumhaara main intiKHab
tum merā intiḳhāb tumhārā maiñ intiḳhāb
tum bhī ho lā-javāb to maiñ bhī huuñ lā-javāb
fursat us aadmī ko kahāñ hai gunāh kī
roTī jis aadmī ko ho mushkil se dastiyāb
yuuñ dil meñ tere dard ko ham ne sajā rakhā
mehrāb meñ ho jaise muqaddas koī kitāb
ab kyā kisī se koī vafā kī rakhe umiid
har koī kar rahā hai vafāoñ se ijtināb
kin kin ḳharābiyoñ kā karūñ zikr maiñ 'shakīl'
al-qissa-muḳhtasar ki zamāna hī hai ḳharāb
tum mera intiKHab tumhaara main intiKHab
tum bhi ho la-jawab to main bhi hun la-jawab
fursat us aadmi ko kahan hai gunah ki
roTi jis aadmi ko ho mushkil se dastiyab
yun dil mein tere dard ko hum ne saja rakha
mehrab mein ho jaise muqaddas koi kitab
ab kya kisi se koi wafa ki rakhe umid
har koi kar raha hai wafaon se ijtinab
kin kin KHarabiyon ka karun zikr main 'shakil'
al-qissa-muKHtasar ki zamana hi hai KHarab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.