tum mere dil ko samajhna nahin patthar jaisa
tum mire dil ko samajhnā nahīñ patthar jaisā
ek zarra hai jo tāqat meñ hai jauhar jaisā
haq kī ḳhātir maiñ akelā bhī nikal aa.uuñ agar
apne dushman ko nazar ā.uñgā lashkar jaisā
yuuñ to sañglāḳh chaTānoñ se banā huuñ lekin
tum jo chāhoge to ho jā.ūñgā bistar jaisā
DhūñD letā huuñ maiñ ḳhūbī koī nashtar vaalī
jab koī harf nazar aatā hai nashtar jaisā
ab takabbur kī koī baat na karnā 'ātir'
ab tire ghar kā bhī māhaul hai bāhar jaisā
tum mere dil ko samajhna nahin patthar jaisa
ek zarra hai jo taqat mein hai jauhar jaisa
haq ki KHatir main akela bhi nikal aaun agar
apne dushman ko nazar aaunga lashkar jaisa
yun to sanglaKH chaTanon se bana hun lekin
tum jo chahoge to ho jaunga bistar jaisa
DhunD leta hun main KHubi koi nashtar wali
jab koi harf nazar aata hai nashtar jaisa
ab takabbur ki koi baat na karna 'atir'
ab tere ghar ka bhi mahaul hai bahar jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.